|
|
Risala-e-Faraez |
|
|
|
Main ke Syed Miranji ibn Miyan Syed Salaamullah ho jumla musaddiqaan-e-Mahdi
Alayhis Salaam par wazey karta hoon kay hasil-e-ahkaam mahkumaat-e-Mahdi-e-Ma'ud
Alayhis Salaam jo 'Aquida Bandagi Miyan Syed Khundmir Razi-Allahu-Anhu mein mazkur
hain jumla tees [30] ahkaam hain. Baaz un say faraez-e-'eteqaadi aur baad
faraez-e-'amali hain lekin munjumla un kay ahkaam-e-faraez-e-'eteqaadi jin par har
musaddiq ko 'etiqad rakhnay kay charah nahi bees [20] adad hain, be'deen tafsil
Faraez-e-'Eteqaadi
- Mahdi Alayhis Salaam ki tasdiq Muhabbat kay saath karna
- Munkir-e-Mahdi Alayhis Salaam ko kafir jaanna
- Taswiyat-e-Khataymain Alayhimus Salaam to haq jaanna
- Mahdi Alayhis Salaam ko bilawasta har naye din ta'leem az khuda jaanna
- Tamaam ahkaam-e-Mahdi Alayhis Salaam ko sabit ba amr-Allah jaanna
- Mahdi Alayhis Salaam kay bayaan say jo shakhs ek hurf ka bhi munkir ho is ko ind-Allah makhuz samajhna
- Jo hadees kay Kitab-e-Khuda aur Haal-e-Mahdi Alayhis Salaam kay mawafiq ho is ko saheeh jaanna
- Har shakhs ka imaan lana aur ita'at karna roz-e-misaaq say sabit jaanna
- Char sifatoun ki muwafaqat yani hijrat wa ikhraj, wa iza aur qital ko nishan-e-tasdiq jaanna
- Yeh jaanna kay hijrat wa suhbat-e-sadiqeen ki mukhalifat hukm-e-nifaq rakhti hai
- Mahdi Alayhis Salaam kay huzur tasih mein maqbul wa mardud ka mahaz hona haq jaanna
- Mujtahideen mufassirin waghairhum ka jo hukm hazrat Mahdi Alayhis Salaam kay bayaan ka mukhalif hua is ko ghair sahih jaanna
- Tamaam aamaal aur bayaan-e-Mahdi Alayhis Salaam ko ta'leem-e-khuda aur iteba-e-hazrat mustafa Alayhis Salaam par mubni jaanna
- Mazahib a'imma-e-arba mein say kisi mazhab kay saath taqayyud-e-amal ko na rawa jaanna
- Khusisiyat-e-be'sat-e-Mahdi ko 'vilayat-e-Muhammadi say mutaliqa ahkam kay izhar wa bayaan' kay liye jaanna
- Ayat-e-karima 'summa inna alayna bayanah' mein jo bayaan mazkur hai yeh bayaan ba zaban-e-Mahdi Alayhis Salaam sabit jaanna
- Daar-e-dunya mein didar-e-khuda hona jaiez wa mumkin jaanna
- Imaan zath-e-khuda [didar-e-khuda imaan-e-haqiqi] jaanna
- Dozakhiyoun kay liye dozakh ki jawidani ba hukm-e-ayaat-e-Qur'ani sabit jaanna
- Irada-e-dunya par wadah-e-dozakh ba hukm-e-ayaat-e-Qur'ani haq jaanna
Faqat alawa azeen jo ahkaam wa nuqul ke baab 'eteqaad mein nazar aayen ba nazar tadabbur wa tafakkur un ka
mu'ayana karen to unhi kay tahat sabit hongay wallahu alam bis sawab. Aur lekin ahkaam-e-faraez-e-'amali ke
jin par har mumin mard aur aurat ko amal payra hona farz hai aur unkay ikhtiyar karnay kay siwa charah nahi
wo dus adad hain, Be'deen tafsil
Faraez-e-'Amali
- Tark-e-hayat-e-dunya karna
- Watan say hijrat karna
- Sadiqoun ki suhbat mein rahna
- Ma siwa Allah say parhez karna yani khalq say uzlat ikhtiyar karna
- Hamesha Allah ka zikr karna
- Khuda kay didar ka talib rahna yahan tak kay chashm-e-sar say ya chashm-e-dil say ya khawab mein khuda ko dekh lay aur agar na dekha to momin na hoga magar talib-e-sadiq jo cheh [6] sifatoun say muttasif hai
- Talib-e-sadiq ki cheh sifatoun say kay jin wujud par hukm imaani mauquf hai musharraf hona chunachay [wa sifaat ye hain]:
- Apna ruye dil ghair-e-haq say phira rahey
- Apnay ruye dil ko khuda ki taraf laya rahey
- Hamesha yaad-e-khuda mein mashgul rahey
- Dunya say uzlat aur
- Khalq say uzlat ikhtiyar karey
- Aur hamesha apnay say bahar honay ki himmat karey
- Rah-e-khuda mein jihad yani shamshir-e-aahan say lashkar kay saath ya faqr say nafs kay saath jihad karna
- ghadghada maut say pehlay halat-e-hayat mein tauba karna
- Panch sifaat par jin par imaan munhasar hai chunachay Allah ta' ala farmata hai 'Wahi log imaan wale hain
ke jab Allah ka naam liya jata hai to un kay dil dar jatey hain aur jab ayaat-e-ilahi unko padh kar sunayi
jati hain aur [wo har haal mein] apnay rab par bharosa rakhtey hain, jo namaz padhtey hain aur hum nay jo
unko rozi di hai is mein say [khuda ki rah mein] kharch kartey hain yahi hain sacchey dindaar' par amal
payra hona yahan tak kay talib-e-sadiq inhi sifaat say mumin-e-hukmi hua hai chunachay khuda say dil laga
rahna Ayaat-e-Qur'ani kay sunney kay bad imaan ziyada hona, tammaam kamoun mein khuda ta'ala par tawakkul
karna, namaz pancho waqt ki unkay auqat par ada karna, jo kuch khuda-e-ta'ala rozi dey ussay infaq karna yani
us ka ushr kama haqqa ada karna aur jo ahkam amali kay ahkam mazkura aquiday par zayad ma'lum hotay hain wa
tammaam unhi ahkam mein dakhil hain. Chunachay sawiyat, naubat, ijma, aur tark-e-izzat yani taslimi farz
suhbat-e-sadiqaan mein dakhil hai - tayun wa braat ka tark karna, muwafiqoun [mahdaviyon] kay gharroun ko
bhi [bila wajhe shara'i] jana tark karna, tark-e-tadbir wa tarddud aur tark-e-miraas tark-e-hayat-e-dunya
mein dakhil hain. Aur dairay kay bahar jane ko tark karna aur dairay kay bahar jalti hui aag samajh kar
hatoun bandhey huye dairay ki baad kay andar muqayyad rahna dakhil-e-uzlat hai. Aur har qisam ka sawal yani
haali aur fa'li aur qauli tark karna aur tark-e-lazzat aur us futuh ka tark karna ke jiski khabar iskay
pahunch nay say peshtar ma'lum hochuki ho dakhil-e-tawakkul hai. Zikr kaseer karna aur dono waqt yani
sultan-ul-lail aur sultan-un-nahar ki hifazat karna dakhil-e-zikr-e-dawam hai. Isi tarah jo kuch baqi hain wo
baqi hain dakhil hain. Pas har musaddiq ko us par imaan lana aur 'eteqaad rakhna aur amal karna aur un ahkaam
ke tavil wa tahvil say dur rahna farz-e-ayn hai kyon ke un ahkaam ki sahat par ijma' ann sahaba-e-ikraam
Razi-Allahu-Anhum Ajmayeen nay itefaaq kiya hai aur sab nay un tammaam par imaan aur 'eteqaad rakha hai
chunachay Bandagimiyan syed khundmir Razi-Allahu-Anhu nay farmaya hai 'Aye talibaan-e-haq jo Mahdi Alayhis
Salaam kay Girvidah huye ho tum ko malum ho......' [mulhaza ho aqida]. Al gharaz janna chahiye key bajuz un
jumla ahkaam par imaan laney aur un par 'eteqaad rakhnay aur amal karna aur unki tavil aur tahvil say baaz
rahnay kay kisi shakhs ka groh-e-Mahdi Alayhis Salaam mein shumar na hoga aur us kay falah aur najat ki umeed
bhi nahi hai.
|
|
|
|
|